Zulmaton Mein Go Thaharne Ko Thahar Jate Hain Log

zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log

kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi

ab KHulus-e-ishq par bhi choT kar jate hain log

rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram

sar uThae be-niyazana guzar jate hain log

zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin

hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log

shaiKH-sahib hum siyah-baKHton ka pichha chhoDiye

sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulmaton Mein Go Thaharne Ko Thahar Jate Hain Log In English By Famous Poet Aish Barni. Zulmaton Mein Go Thaharne Ko Thahar Jate Hain Log is written by Aish Barni. Read famous Poem Zulmaton Mein Go Thaharne Ko Thahar Jate Hain Log for youth and Student by Aish Barni. Free Download Zulmaton Mein Go Thaharne Ko Thahar Jate Hain Log in PDF.