Zehn Par Jab Dard KHamoshi Ki Chadar Tanta Hai
zehn par jab dard KHamoshi ki chadar tanta hai
qatra qatra aankh se lafz-o-maani chhanta hai
har kas-o-na-kas ko ras aati nahin aawaragardi
raste us par hi khulte hain jo chalna jaanta hai
naqsh-e-parina haTa kar main nae paikar tarashun
kuza-gar kankar haTa kar jaise miTTi santa hai
wo hai diwana use gumnami o tashhir se kya
KHamushi se kar guzarta hai jo dil mein Thanta hai
kor-chashmi ne bikhera husn ka shiraaza warna
ishtihaari jism bhi poshidgi ko manta hai
ye sila bhi kam nahin 'azim' teri mashq-e-suKHan ka
koi ghazlon ke hawale se tujhe pahchanta hai
(1170) Peoples Rate This