PaDho Ibarat-e-taKHliq-e-dard Chehre Par
paDho ibarat-e-taKHliq-e-dard chehre par
likhi hai karb ki rudad zard chehre par
chhupa rahi hai KHad-o-KHal jhurriyan ban kar
jami hui thi safar mein jo gard chehre par
kamal-e-zabt to ye hai ki rang-e-mayusi
dam-e-shikast bhi jhalke na mard-chehre par
pighalti kyun na bhala barf ajnabiyyat ki
nazar ki dhup jo Thahri thi sard chehre par
main dhul ahl-e-chaman meri qadr kya jaanen
mujhe sajate hain sahra-naward chehre par
har ek jism barahna lage wahan 'azim'
jahan naqab rakhe fard fard chehre par
(858) Peoples Rate This