Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak
mujhi mein jita hai suraj tamam hone tak
main apne jism mein aata hun sham hone tak
KHabar mili hai mujhe aaj apne hone ki
kahin ye jhuT na ho jae aam hone tak
kahan ye jurat-e-izhaar thi kisi shai mein
sukut-e-shab se mere ham-kalam hone tak
ye puKHtagi thi ghamon mein na dhaDkanon mein sabaat
tumhaare dard ka dil mein qayam hone tak
ye chand tare meri dastaras se dur nahin
ki fasle hain mere tez-gam hone tak
guzar rahe hain nazar se nazar milae baghair
Thahar bhi jaiye ek ek jam hone tak
diye bujha diye jate hain subh tak 'azim'
mera hawala diya us ne nam hone tak
(808) Peoples Rate This