Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai
karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai
jis ki jitni aamadani itna hi baDa us ke hirs ka dahana hai
ye shuur-zade jo manfat-guzida hain haif un ki nazron mein
be-gharaz mulaqaten aur KHulus ki baaten feal-e-ahmaqana hai
apni zat se qurbat apne nam se nisbat apne kaam se raghbat
apna KHol hi un ka KHitta-e-marasim hai ku-e-dostana hai
har KHushi ki mahfil mein qahqahe luTate hain KHud hi luTte bhi hain
gham ki majlison mein bhi sab ka apna apna sar apna apna shana hai
jin buland shaKHon par narm-rau hawaen hain bijliyon ka Dar bhi hai
irtiqa ke jangal mein hadsat ki zad par sab ka aashiyana hai
tarz-e-baghbani mein shiddat-e-numu-KHezi kaise gul khilaegi
nim-wa shagufon ke rang-e-dil-farebi mein bu-e-tajirana hai
jagmagate baam-o-dar jhilmilate rauzan hain chamchamati dahlizen
zahiri chamak 'azim' turra-e-sharafat hai raunaq-e-zamana hai
(1175) Peoples Rate This