Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3f20837b77b5ce2c3561ea66d5ca570f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae - Ainuddin Azim Poetry In English - Darsaal

Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae

ab junun ke rat-jage KHirad mein aa gae

sare KHwab raushni ki zad mein aa gae

log pa gae haqiqaten qayas mein

hum yaqin se guman ki had mein aa gae

ilm ke muraqabe hain ghair-mustanad

jehl ke munazare sanad mein aa gae

lafz-e-fath ke jo tarjuman the kabhi

kyun simaT ke harf-e-al-madad mein aa gae

ek panah kya mali ki husn-o-ishq ke

sab gunah nekiyon ki mad mein aa gae

dal ki tah mein 'azim' un ki yaad rah gai

gham ubhar ke mere KHal-o-KHad mein aa gae

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Ab Junun Ke Rat-jage KHirad Mein Aa Gae in PDF.