Aawaz Ke Saudagaron Mein Itni Fankari To Hai
aawaz ke saudagaron mein itni fankari to hai
sher-o-adab ke nam hi par garm-bazari to hai
koi kahe koi sune koi likhe koi paDhe
har dil ko bahlae ghazal bik jae bechaari to hai
kawwon ke aage gung hain kya tutiyan ki bulbulen
ahl-e-chaman hain mutmain rasm-e-suKHan jari to hai
mana zamin-e-karbala par dastaras mumkin nahin
lekin sar-e-kufa yazidon ki amal-dari to hai
in shairon mein ek do shaer bhi hain mahfil-zada
sad-afrin in Theka-daron mein rawa-dari to hai
kis ne kaha 'azim' KHushamad ji-huzuri aib hai
rah-e-talab hamwar karne ki kala-kari to hai
(951) Peoples Rate This