Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai
zamin ek muddat se
haft-asman ki taraf sar uThae hue
ro rahi hai
zamin apne aansu
bahut apni hi kokh mein bo rahi hai
zamin dil-kushada hai kitni
falak ke utare hue bojh bhi Dho rahi hai
faza par bahut dhund chhai hui hai
jawan gul-badan shahazade
zamin ke dulare
ujaDti hui bazm ke chand tare
kaTi gardanon goliyon se chhide jism ki
rut sajae lahu mein nahae
zamin ki taraf aa rahe hain
zamin ek muddat se
is kar-o-bar-e-sitam mein ghiri hai
zamin ro rahi hai
magar us ke aansu ki tahrir
raushan hai itni
ki aainda mausam isi zinda tahrir se
jagmagate rahenge
agar is ke shahzade
yunhi lahu mein nahate rahenge
to ek roz tariKH
un ke liye hashr barpa karegi
(899) Peoples Rate This