Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_91fe031f1daaabb7e89ce92fbe85794e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Haweli Maut Ki Dahliz Par - Ain Tabish Poetry In English - Darsaal

Haweli Maut Ki Dahliz Par

haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai

chand ne bujh kar

sitaron ne udasi oDh kar

phulon ne KHushbu ka libaada phenk kar

mahaul pas-az-marg ka tayyar kar Dala hai

bas ek aaKHiri hichki ke sab hain muntazir

sare aizza-o-aqarib nauha-KHwani ke liye

tayyar baiThe hain

haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai

us ke marne mein agar kuchh der baqi hai

to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen

sadi ka dusra ashra

nae aaghaz ke pul par khaDa ho kar

samundar ki bipharti mauj ko lalkarta hai

waqt ke ghawwas

sipon mein guhar khagante hain

ibn-e-adam ke qabile

ruh-e-mashriq ki purani ghaTiyon se

ek ek kar ke nikalte hain

buKHara o samarqand uzbekistan o hirat

sab pe chhai hai andheri saKHt raat

lucknow aur akbarabad apni shaukat kho rahe hain

marhaba sham-e-ghariban

ab to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen

haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haweli Maut Ki Dahliz Par In English By Famous Poet Ain Tabish. Haweli Maut Ki Dahliz Par is written by Ain Tabish. Read famous Poem Haweli Maut Ki Dahliz Par for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Haweli Maut Ki Dahliz Par in PDF.