Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4b81f30b97bbf1093bedb23b4aa15dec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha - Ain Tabish Poetry In English - Darsaal

Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha

ek shahr tha ek bagh tha

ek shahr tha

ya taza mewon se lada ek bagh tha

ek bagh tha

ya shoKH rangon se bhara bazar tha

bazar tha ya jugnuon ki raushni se khelti ek raat thi

ek raat thi

ya gungunati jhumti

naghmat ki barish mein bhigi

wasl ki saughat thi

ek shahr tha ek bagh tha ek raat thi

aur un ke daman mein

bahaar-e-wasl ki saughat thi

ek roz rang-o-nur ke mausam ko

baad-e-shart uDa kar le gai

ek mauj-e-KHun kahiye use

us shahr ke us bagh ke

nam-o-nishan sare baha kar le gai

ai nauhagar

ai raqim-e-afsana-e-zer-o-zabar

ai chashm-e-hairat chashm-e-tar

ibrat ki ja hai kis qadar

ab yaad ka hai ek afsurda nagar

is shahr mein

kuchh der ko Thahren zara

nauha karen

qissa likhen

tariKH ke auraq mein

ek bab kholen yaad ka

taqdir-e-hast-o-bud ka

maghmum afsana likhen

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha In English By Famous Poet Ain Tabish. Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha is written by Ain Tabish. Read famous Poem Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Ek Shahr Tha Ek Bagh Tha in PDF.