Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f2c8accd702832018275f8d60848d3d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain - Ain Tabish Poetry In English - Darsaal

Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain

yahan ke rang baDe dil-pazir hue hain

dayar-e-ishq ke hakim faqir hote hain

har ek dil mein to ye barchhiyan utarti nahin

koi koi to nazar ke asir hote hain

hujum-e-bul-hawasi ke ghane andheron mein

kuchh aise gham bhi hain jo dast-gir hote hain

har aise-waise se qufl-e-qafas nahin khulta

is imtihan ke liye kuchh haqir hote hain

tumhaare shahr mein kis ko hai jaan dene ka shauq

magar wahan bhi jo sahab-zamir hote hain

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain In English By Famous Poet Ain Tabish. Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain is written by Ain Tabish. Read famous Poem Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Yahan Ke Rang BaDe Dil-pazir Hue Hain in PDF.