Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ac90fd9c765bff3fbc36fdf2b6ebf9c6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka - Ain Tabish Poetry In English - Darsaal

Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka

aawara bhaTakta raha paigham kisi ka

maktub kisi aur ka tha nam kisi ka

hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr

taklif kisi ke liye aaram kisi ka

kuchh logon ko ruKHsat bhi kiya karti hai zalim

rasta bhi taka karti hai ye sham kisi ka

ek qahr hua karti hai ye mahfil-e-mai hai bhi

jab honT kisi aur ka ho jam kisi ka

muddat hui Dube hue KHwabon ka safina

maujon pe chamakta hai magar nam kisi ka

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka In English By Famous Poet Ain Tabish. Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka is written by Ain Tabish. Read famous Poem Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Aawara BhaTakta Raha Paigham Kisi Ka in PDF.