Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye
na tirgi ke liye hun na raushni ke liye
sitara-e-sahari hun main zindagi ke liye
ye kaun waqt ki surat mujhe badalta hai
ye kya kisi ke liye kuchh hun kuchh kisi ke liye
sarab-e-KHwab ki tabir ju-e-ab sahi
main sochta hun magar dasht-e-tishnagi ke liye
wo mutmain hun guman ko yaqin samajhta hun
yaqin ki KHud nahin kuchh kam jo gumrahi ke liye
kahin wo meri tarah mera aashna hi na ho
hazar KHwab bunun main jis ajnabi ke liye
wo aasman ho ki sahra wajud ho ki adam
faza bani hai ye kis sharh-e-KHamushi ke liye
(916) Peoples Rate This