Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b504a304279f3380a4bfb8269d88f7ee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe - Ain Irfan Poetry In English - Darsaal

Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe

kya kisi baat ki saza hai mujhe

rasta phir bula raha hai mujhe

zinda rahne ki mujh ko aadat hai

roz marne ka tajraba hai mujhe

itna gum hun ke ab mera saya

mere andar bhi DhunDta hai mujhe

chand ko dekh kar yun lagta he

chand se koi dekhta hai mujhe

pahle to justuju thi manzil ki

ab koi kaam dusra he mujhe

ye meri nind kis maqam pe hai

KHwab mein KHwab dikh raha hai mujhe

aaine mein chhupa hua chehra

aisa lagta hai jaanta hai mujhe

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe In English By Famous Poet Ain Irfan. Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe is written by Ain Irfan. Read famous Poem Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe for youth and Student by Ain Irfan. Free Download Kya Kisi Baat Ki Saza Hai Mujhe in PDF.