Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_66ad27aeb5e7f37356d75726e779bc90, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai - Ain Irfan Poetry In English - Darsaal

Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai

kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai

ye dard hi to meri zindagi ka hasil hai

main apne aap se pichha nahin chhuDa paya

mera wajud meri bebasi ka hasil hai

ye tirgi bhi kisi raushni se nikli hai

ye raushni bhi kisi tirgi ka hasil hai

hazar kawishen kin par nahin samajh paya

koi batae to kya aadmi ka hasil hai

mera wajud jo patthar dikhai deta hai

tamam umr ki shishagari ka hasil hai

maashre mein jo mashhur ho gaya 'irfan'

wo ek sher teri shairi ka hasil hai

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai In English By Famous Poet Ain Irfan. Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai is written by Ain Irfan. Read famous Poem Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai for youth and Student by Ain Irfan. Free Download Kabhi Jo Mil Na Saki Us KHushi Ka Hasil Hai in PDF.