Shab-rang Parinde Rag-o-reshe Mein Utar Jaen
shab-rang parinde rag-o-reshe mein utar jaen
kohsar agar meri jagah hon to bikhar jaen
har samt siyah gard ki chadar si tani hai
suraj ke musafir bhi idhar aaen to mar jaen
sab khel hawaon ke ishaaron pe hai warna
maujen kahan muKHtar ki ji chahe jidhar jaen
is dasht mein pani ke siwa DhunDhna kya hai
aankhon mein meri ret ke sau zaiqe bhar jaen
sae ki tarah sath hi chalta hai siyah-baKHt
ab hath ki bechaari lakiren bhi kidhar jaen
(718) Peoples Rate This