Tumhaari Lan-tarani Ke Karishme Dekhe-bhaale Hain
tumhaari lan-tarani ke karishme dekhe-bhaale hain
chalo ab samne aa jao hum bhi aankh wale hain
na kyunkar rashk-e-dushman se KHalish ho KHar-e-hasrat ki
ye wo kanTa hai jis se panw mein kya dil mein chhaale hain
ye sadma jite ji dil se hamare ja nahin sakta
unhen wo bhule baiThe hain jo un par marne wale hain
hamari zindagi se tang hota hai abas koi
gham-e-ulfat salamat hai to kai din jine wale hain
'amir' o 'dagh' tak ye imtiyaz o farq tha 'ahsan'
kahan ab lucknow wale kahan ab dilli wale hain
(2459) Peoples Rate This