Saqi-o-waiz Mein Zid Hai Baada-kash Chakkar Mein Hai
saqi-o-waiz mein zid hai baada-kash chakkar mein hai
tu ba-lab pur aur lab Duba hua saghar mein hai
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDa hai ab tak ghar ki daulat ghar mein hai
dab gaya tha mere marne se jo ai mahshar-KHiram
kya wahi KHwabida-fitna surat-e-mahshar mein hai
jis ko tu chahe jila de jis ko chahe mar de
wo bhi teri baat mein ye bhi teri Thokar mein hai
dil ke miT jaane se josh-e-ishq ghaT sakta hai kya
dil se kya matlab ki ye sauda to mere sar mein hai
manta hai aastan ko tere kaba aur kaun
ye hamara hi nishan-e-sajda sang-e-dar mein hai
'ahsan'-e-awara-qismat ki na puchho gardishen
apne ghar baiTha hua taqdir ke chakkar mein hai
(808) Peoples Rate This