Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e112e024d866c6cce033a1cd55a40e70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai - Ahsan Marahravi Poetry In English - Darsaal

Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai

mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai

ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai

fughan to ishq ki ek mashq-e-ibtidai hai

abhi to aur baDhegi ye lai abhi kya hai

tamam umr isi ranj mein tamam hui

kabhi ye tum ne na pucha teri KHushi kya hai

tum apne ho to nahin gham kisi muKHalif ka

zamana kya hai falak kya hai muddai kya hai

salah-e-kar banaya hai maslahat se use

wagarna naseh-e-nadan ki dosti kya hai

dilon ko khinch rahi hai kisi ki mast nigah

ye dilkashi hai to phir uzr-e-mai-kashi kya hai

mazaq ishq ko samjhoge yun na tum naseh

laga ke dil kahin dekho ye dil-lagi kya hai

wo raat din nahin milte to zid na kar 'ahsan'

kabhi kabhi ki mulaqat bhi buri kya hai

(1470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Mujhe KHabar Nahin Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai in PDF.