Kyun Chup Hain Wo Be-baat Samajh Mein Nahin Aata
kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh mein nahin aata
kya dad-e-suKHan hum tumhein den hazrat-e-naseh
hai sau ki ye ek baat samajh mein nahin aata
shaiKH aur bhalai se kare tazkira tera
ai pir-e-KHarabaat samajh mein nahin aata
saya bhi shab-e-hijr ki zulmat mein chhupa hai
ab kis se karen baat samajh mein nahin aata
mushtaq-e-sitam aap hain mushtaq-e-ajal hum
phir kyun ye ruka hat samajh mein nahin aata
roka unhen jaane se sar-e-sham to bole
kyun karte ho tum raat samajh mein nahin aata
dil ek hai aur is ke talabgar hazaron
den kis ko ye saughat samajh mein nahin aata
kyun-kar kahun 'ahsan' ki adu dost hai mera
ho nek wo bad-zat samajh mein nahin aata
(921) Peoples Rate This