Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai
kashish-e-husn ki ye anjuman-arai hai
sari duniya tere kuche mein simaT aai hai
dard ne khoe hue dil ki jagah pai hai
ek bala sar se gai ek bala aai hai
jaan nisaron ko sahaara jo na jine ka mila
ku-e-qatil mein qaza khinch ke le aai hai
main chhupata hun gham-e-ishq to banta nahin kaam
aur kahta hun to goya meri ruswai hai
jigar o dil mein taraazu na ho kyun nawak-e-naz
is ko donon se barabar ki shanasai hai
dil ye kahta hai wahan ja ke sambhal jaunga
main ye kahta hun ki bad-baKHt ki maut aai hai
ban ke naseh wo ye kahte hain mohabbat na karo
mujh ko marne nahin dete ye masihai hai
sab jise dagh-e-dil o zaKHm-e-jigar kahte hain
wo mere naKHun-e-gham ki chaman-arai hai
kya hai duniya mein numud aur numaish ke siwa
zindagi hum ko tamashe ke liye lai hai
ishq ruswa-kun-e-alam wo hai 'ahsan' jis se
nek-namon ki bhi bad-nami o ruswai hai
(817) Peoples Rate This