Ishq Karte Hain To Ahl-e-ishq Yun Sauda Karen
ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen
hosh ka sarmaya nazr-e-husn-e-be-parwa karen
hum na hon lekin zamane mein hamara nam ho
aisi hasti chahiye to mar ke hum paida karen
hai KHud-arai kisi ki shan-e-KHuddari ke sath
yani un ko hum na dekhen wo hamein dekha karen
dars-e-irfan ke liye har zarra hai tur-e-kalim
dekhne wale magar pahle nazar paida karen
sheKH ko jannat mubarak hum ko dozaKH hai qubul
fikr-e-uqba wo karen hum KHidamt-e-duniya karen
ek dil hai ek hasrat ek hum hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen
'ahsan'-e-ranjur ko duniya se kya hai wasta
aap ne bimar Dala aap hi achchha karen
(763) Peoples Rate This