Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka
ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka
ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka
ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr mein
ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftar ka
hazrat-e-adam se ta in dam hue sab ishq dost
hai azal se daur daura husn ki sarkar ka
hum jo mar kar ji uThe is par tajjub kya ki hai
wo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka
aap ke ghamze uThaun ghair ke tane sunun
banda parwar main ne chhoDa ishq bhi sarkar ka
aablon ko sar uThane ki zara mohlat nahin
hai karam sahra-nawardi mein ye nok-e-KHar ka
is se baDh kar aap 'ahsan' chahte hain aur kya
doston ki dad hai goya sila ashaar ka
(1004) Peoples Rate This