Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana
chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana
jis tarah aankh uThe mahw-e-ada ho jaana
kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana
ruh ka jism se goya hai juda ho jaana
maut hi aap ke bimar ki qismat mein na thi
warna kab zahr ka mumkin tha dawa ho jaana
apne pahlu mein tujhe dekh ke hairat hai mujhe
KHarq-e-adat hai tera wada wafa ho jaana
waqat-e-ishq kahan jab ye talawwun ho wahan
kabhi raazi kabhi aashiq se KHafa ho jaana
jab mulaqat hui tum se to takrar hui
aise milne se to behtar hai juda ho jaana
chheD kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho
baiThe baiThe unhen aata hai KHafa ho jaana
mujh se phir jae jo duniya to bala se phir jae
tu na ai aah zamane ki hawa ho jaana
'ahsan' achchha hai rahe mal-e-arab pesh-e-arab
de ke dil tum na giraftar-e-bala ho jaana
(788) Peoples Rate This