Baham Jo Husn O Ishq Mein Yarana Ho Gaya
baham jo husn o ishq mein yarana ho gaya
koi pari bana koi diwana ho gaya
itni si baat par ki hui shama be-hijab
tayyar jaan dene ko parwana ho gaya
tang aa gaya hun wusat-e-mafhum-e-ishq se
nikla jo harf munh se wo afsana ho gaya
har dil mein yaad ban ke chhupe hain butan-e-ishq
allah tera ghar bhi sanam-KHana ho gaya
farigh takallufat se hain rind-e-be-riya
chullu hi un ke waste paimana ho gaya
tafsil apne jaur-o-sitam ki na puchhiye
kya kya na aap ne kiya kya kya na ho gaya
dekhi hai jab se aankh kisi ki phiri hui
aalam meri nigah mein begana ho gaya
KHush hun ki ho raha hai ye irshad le ke dil
'ahsan' qubul tera ye nazrana ho gaya
(887) Peoples Rate This