Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6354c2a30566c3e88950d94a157fd3be, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai - Ahsan Imam Ahsan Poetry In English - Darsaal

Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai

lahu-luhan sa manzar hamari aankh mein hai

hamara jalta hua ghar hamari aankh mein hai

fasad mein jo tabahi hui hamare yahan

usi ka aaj bhi ek Dar hamari aankh mein hai

hamari samt uchhaala gaya tha jo ek din

lahu se surKH wo patthar hamari aankh mein hai

nizam hind ka bigDa hai jab se ai 'ahsan'

tabhi se surKH samundar hamari aankh mein hai

use na chhin saka koi mujh se ai 'ahsan'

ubharta Dubta aKHtar hamari aankh mein hai

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download Lahu-luhan Sa Manzar Hamari Aankh Mein Hai in PDF.