KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha
KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha
jo aaj tak na makin-e-guman ke dhyan mein tha
wo dekhta raha hasrat se aasman ki taraf
chhupa hua wo parinda jo saeban mein tha
zamin pe koi samaat thi muntazir meri
sada ki shakl muallaq main aasman mein tha
mera nasib to KHushiyon ki bhiD mein aksar
charagh ki tarah raushan kisi dukan mein tha
kabhi mujhe bhi to karna paDega samjhauta
bahut dinon se ye KHadsha mere guman mein tha
tere sawal ka kaise jawab deta main
ki jab main khoya hua fikr ki uDan mein tha
wahi to aag lagata phira gulistan mein
jo 'ahsan' ahl-e-chaman mein na baghban mein tha
(845) Peoples Rate This