Ret Par Safar Ka Lamha
kabhi hum bhi KHub-surat the
kitabon mein basi
KHushbu ki surat
sans sakin thi
bahut se an-kahe lafzon se
taswiren banate the
parindon ke paron par nazm likh kar
dur ki jhilon mein basne wale
logon ko sunate the
jo hum se dur the
lekin hamare pas rahte the
nae din ki masafat
jab kiran ke sath
aangan mein utarti thi
to hum kahte the
ammi titliyon ke par
bahut hi KHub-surat hain
hamein mathe pe bosa do
ki hum ko titliyon ke
jugnuon ke des jaana hai
hamein rangon ke jugnu
raushni ki titliyan aawaz deti hain
nae din ki masafat
rang mein Dubi hawa ke sath
khiDki se bulati hai
hamein mathe pe bosa do
hamein mathe pe bosa do
(1273) Peoples Rate This