Maqam-e-hijr Kahin Imtihan Se Khaali Hai
maqam-e-hijr kahin imtihan se KHali hai
kahin zamin bhi kisi aasman se KHali hai
nashat-e-gham mein to dard-e-nihan talash na kar
nashat-e-gham kabhi dard-e-nihan se KHali hai
uruj-e-gham mere soz-e-jigar se aa puchha
maqam-e-dil kahin soz-e-nihan se KHali hai
KHayal us ka main shayad samajh nahin paya
mera KHayal to ishq-e-butan se KHali hai
ek aisi baat hi taskin-e-qalb baKHshe hai
'nisar' dil mera wahm-o-guman se KHali hai
(874) Peoples Rate This