Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya
gham ka pahaD mom ke jaise pighal gaya
ek aag le ke ashkon ki surat nikal gaya
KHush-fahmiyon ko soch ke main bhi machal gaya
jaise khilauna dekh ke bachcha bahal gaya
kal tak to khelta tha wo shoalon se aag se
na jaane aaj kaise wo pani se jal gaya
jhulse badan ko dekh ke katra raha hai wo
jis ke main ghar ki aag bujhane mein jal gaya
barish hui ghamon ki to aankhon ki sip mein
aansu ka qatra palkon se girte sambhal gaya
waise sabhi to zist se daman bacha liye
wo kaun hai jo maut se bach kar nikal gaya
taqdir so na jae kahin jagiye zara
dekho taraqqiyon ka bhi suraj nikal gaya
gar ho sake to aap bhi badlo miyan 'nisar'
kahna paDe na ye ki zamana badal gaya
(901) Peoples Rate This