Gali Ka Aam Sa Chehra Bhi Pyara Hone Lagta Hai
gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai
mohabbat mein to zarra bhi sitara hone lagta hai
yahan gum-sum se logon par kabhi palken nahin uTThin
ishaara karne walon ko ishaara hone lagta hai
hamari zindagi par hai hamare ishq ka saya
ki hum jo kaam karte hain KHasara hone lagta hai
mohabbat ki adalat bhi bhala kaisi adalat hai
ki jab bhi uThne lagte hain pukara hone lagta hai
zamin o aasman ke sare sahra raqs karte hain
kisi par ishq jab bhi aashkara hone lagta hai
'ata' be-sabr logon ke kabhi bartan nahin bharte
guzara karne walon ka guzara hone lagta hai
(978) Peoples Rate This