Zarurat-e-ittihad
ya KHuda hind par karam farma
is ki taklif kal-adam farma
hain pareshan bahut hawas is ke
nahin hamdard koi pas is ke
faqr-o-faqa se paemal hai ab
qarz mein is ka baal baal hai ab
na hi sanat na ab tijarat hai
sari aasudgi wo ghaarat hai
ilm-o-fan se hai is ka ghar KHali
aql o idrak se hai sar KHali
achchhe atwar miT gae is ke
nek kirdar miT gae is ke
KHulq hai ab na mehr-o-ulfat hai
aatishi hai na ab uKHuwwat hai
rang bilkul hai mulk ka badla
sara pani hai chah ka gadla
har taraf jahl hai laDai hai
dushman aapas mein bhai bhai hai
na mohabbat hai ab na hamdardi
na dileri na ab jawan-mardi
na rawa-dari o sharafat hai
na ab amn-o-aman o rahat hai
har taraf hai fasad hangama
koi rustam hai aur koi gama
ab kahan sulh-o-KHair ki baaten
jab hain kanon mein ghair ki baaten
john-bill ki hain sazishen jari
mulk par hain nawazishen jari
ek se hai kabhi shanasai
dusre ke liye kabhi sai
kabhi in ko laDa diya sab se
kabhi un ko bhiDa diya sab se
kabhi in ko police o thana hai
aur kabhi un ko jail-KHana hai
yahi manzar yahan hai sham-o-sahar
bas yahi ho raha hai aaTh pahar
jaanta hai har ek ye sab baaten
phir bhi KHali nahin hawalaten
wahi jang-o-jadal wahi jhagDe
wahi bughz-o-enad ke ragDe
ya KHuda de hamein wo aql-e-salim
ki samajh hum saken har ek scheme
paD sake phir na koi zad hum par
khul saken sare nek-o-bad hum par
KHatm kar den ye tafraqa-sazi
aag mein jhonk den tabar-yazi
sab karen mil ke mulk ki KHidmat
dur ho is ki usrat-o-nakbat
hikmat o fan watan mein phailaen
shahrahen masal ki khul jaen
ilm o science mulk mein bhar den
is zamin ko hum aasman kar den
hum pe khul jaen sab wo aql ke raaz
ho is ka europe ke turra-e-eazaz
sanaton ki ho garm-bazari
ganw ganw mein hon milen jari
rail, motor, jahaz, tayyare
KHud ye tayar hum karen sare
kabhi sahra ho mustaqar apna
ho kabhi Tapuon mein ghar apna
manchester pe KHak Dalenge
ghar se japan ko nikalen hum
na rahen hum kisi ke bhi muhtaj
mulk apna ho aur apna raj
hum mein gar ittihad ho jae
mulk aabaad shad ho jae
(1265) Peoples Rate This