Mustaqbil
aane wala hai bahut jald ek aisa ahd bhi
dahr ke haalat-e-maujud fana ho jaenge
aur hi ho jaenge kuchh ye zamin-o-asman
aur hi kuchh roz-o-shab subh o masa ho jaenge
rifaton par har taraf chha jaega zoaf o jumud
arsh wale mail-e-taht-us-sura ho jaenge
pastiyan kar lengi tai sare maqamat-e-fraaz
KHak ke zarre surayya tak rasa ho jaenge
azmat o zillat ka sara imtiyaz uTh jaega
ek manzil mein shahanshah o gada ho jaenge
KHak mein mil jaega sarmaya-daron ka ghurur
ahl-e-naKHwat rahi-e-mulk-e-fana ho jaenge
faqr-o-faqa ki jagah le lenge itminan o aish
muflis o mazdur aazad-e-bala ho jaenge
safha-e-hasti se miT jaega nam-e-zulm-o-jabr
ahl-e-istibdad sab be-dast-o-pa jaenge
hakim o mahkum mein baqi na hoga koi farq
ek ahl-e-taKHt o ahl-e-boriya ho jaenge
munhadim ho jaega diwar-e-zindan KHud-ba-KHud
ahl-e-zindan qaid-e-mehnat se raha ho jaenge
TuT jaengi qafas ki tiliyan ek aan mein
chahchahon se bostan rangin-nawa jo jaenge
(1079) Peoples Rate This