KHidmat-e-watan
watan ki KHidmat-e-be-laus hai har shaKHs par lazim
yahi wo kaam hai jo aadmi ke kaam aata hai
laga di jati hai hubb-e-watan mein sar ki bazi bhi
ek aisa bhi wufur-e-josh mein hangam aata hai
palaTne hi ko hai qismat tumhaari ai watan walo
tumhaare waste ye arsh se paigham aata hai
ghulami dur hoti hai tumhaari ab koi dam mein
hukumat aur sardari ka phir hangam aata hai
musibat hai ye bilkul aarzi is par na ghabrana
bas ab aata hai ahd-e-rahat-o-aram aata hai
wahi phir bhi bazm hogi phir wahi ranginiyan hongi
wahi paimana aata hai wahi phir jam aata hai
tum apni na-tawani se pareshan is qadar kyun ho
kabhi kamzor hona bhi bashar ke kaam aata hai
miTa deta hai dam mein naKHwat-e-namrud ek machchhar
kabhi aisa bhi daur-e-gardish-e-ayyam aata hai
KHuda-ra is niza-e-bahami ko KHatm farma do
zara socho ki tum par kis qadar ilzam aata hai
kabhi chiDta hai gar mazkur, qaumon ki jahaalat ka
to sab se pahle kanon mein tumhaara nam aata hai
ye nukta yaad rakkho us ko bhula kah nahin sakte
jo waqt-e-subh ja kar, ghar pe waqt-e-sham aata hai
(1225) Peoples Rate This