Husul-e-azadi Ki Diqqaten
hind ka aazad ho jaana koi aasan nahin
dekhna tum ko abhi kya kya dikhaya jaega
dekhna tum se abhi kitne kiye jaenge makr
kis tarah tum ko abhi chakkar mein laya jaega
tum mein Dala jaega ek saKHt o nazuk tafraqa
tum ko shah de de ke aapas mein laDaya jaega
peshwayan-e-mazahib ko milengi rishwaten
Dhong tabligh aur shuddhi ka rachaya jaega
dharm raksha ke liye tum se liye jaenge ahd
tum ko mazhab apna KHatre mein dikhaya jaega
leaderon se honge wade KHilat-o-inam ke
qillat o kasrat ka hangama uThaya jaega
tum ko parwana ata hoga KHitab o jah ka
tum ko ohde de ke lalach mein phansaya jaega
gar ye tadbiren muqaddar se na ras aaen to phir
dusri surat se tum ko Dagmagaya jaega
intihai barbariyat se liya jaega kaam
band kar ke tum ko jailon mein saDaya jaega
dana-pani kar diya jaega bilkul tum pe band
tum ko bhukon mar ke qabze mein laya jaega
garm lohe se tumhaare jism daghe jaenge
tum ko koDe mar kar ullu banaya jaega
jaedaden sab tumhaari zabt kar li jaengi
baal-bachchon par tumhaare zulm Dhaya jaega
bawajud us ke bhi tum qaem rahe zid par agar
be-tammul tum ko phansi par chaDhaya jaega
is tarah bhi tum agar lae na abru par shikan
sar tumhaare panw par aaKHir jhukaya jaega
(892) Peoples Rate This