Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bf217dbcbdf3be2c33258511b0c33859, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein - Ahmaq Phaphoondvi Poetry In English - Darsaal

Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein

nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein

kaho bulbul se ab anDe na rakkhe aashiyane mein

pachahattar lakh ek be-kar mad mein sarf kar denge

reaya ke liye kauDi nahin jin ke KHazane mein

jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna

zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein

jafa-o-zulm nasab-ul-ain hoga jis hukumat ka

yaqinan KHak ho jaegi wo thoDe zamane mein

wo ek roTi jo hum ko barhaman mushkil se deta hai

hazaron but hua karte hain us ke dane dane mein

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein In English By Famous Poet Ahmaq Phaphoondvi. Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein is written by Ahmaq Phaphoondvi. Read famous Poem Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein for youth and Student by Ahmaq Phaphoondvi. Free Download Nai Had-bandiyan Hone Ko Hain Aain-e-gulshan Mein in PDF.