Mila Jo Dhup Ka Sahra Badan Shajar Na Bana
mila jo dhup ka sahra badan shajar na bana
main wo hun KHud jo kabhi apna ham-safar na bana
nagar nagar mein nai bastiyan basai gain
hazar chaha magar phir bhi apna ghar na bana
ye baat baat hai dil ki to phir jhijak kaisi
ye naqsh naqsh-e-wafa hai tu soch kar na bana
chamakte din ke ujalon se aashna ho kar
andheri raat mein sae ko ham-safar na bana
(803) Peoples Rate This