Har Qadam Par Mere Armanon Ka KHun
har qadam par mere armanon ka KHun
zindagi tera kahan tak sath dun
aandhiyon ki zad mein hai mera wajud
aur main diwar ki taswir hun
kaun ho tum aur kahan se aae ho
sochta hun apne sae se kahun
rang ki duniya se main ukta gaya
phul-rut mein zahr pi kar so rahun
chahta hun tum ko KHushbu ki tarah
ab ki main aawaz hi aawaz hun
ab koi mera nahin mere siwa
aaj apne-ap dil ko toD lun
main ki paighambar nahin 'ahmad-ziya'
kaun sa paigham is duniya ko dun
(684) Peoples Rate This