Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua
fikr ke sare dhage TuTe zehn bhi ab mazur hua
ab ke bahaar ye kaisi aai kaisa ye dastur hua
kal-purzon ka ruh-e-rawan ye aur wo sarmae ki jonk
lekin us ki nazron mein ye dharti ka nasur hua
din ki safedi teri nazar mein raat ki kali chadar hai
raat ka KHuni andhiyara bhi teri nazar mein nur hua
jab se dekha hai kheton mein main ne zalim dhup ka rup
tab se teri zulf ka saya dur bahut hi dur hua
zulm ko us ne zulm kaha hai jabr ko us ne jabr kaha
yani 'ziya' ab 'ziya' nahin hai waqt ka wo mansur hua
(949) Peoples Rate This