Umr Ka AaKHiri Din
yahan mere andar daraKHton ki kitni qataren sulagti rahengi
wahan tere andar taDapte hue lafz lamhe
parinde qataron mein baiThe hue ro rahe hain
daraKHton ke pichhe kai chand TuTe hue reza reza
lahu mein nahae hue kitne suraj mazaron ke katbe!
kahin Dhol ki thap par raqs-e-marg-e-musalsal
kahin daldalon mein utarte hue jism jaise
gunahgar apne kiye ki saza pa rahe hain
na tu apni palkon ke kale pharere uTha kar kahin ja rahi hai
na main koi parcham uThae hue chal raha hun
mere pas baiTha hua jism mujh se ye kyun puchhta hai
kisi gul ki mahiyat-e-rang kya hai?
sitaron ka aahang kya hai?
ye KHushbu hai ya barish-e-sang kya hai
ye sab zinda rahne ke hile wasile abas hain
azal se abad tak wahi silsila hai
yahan se wahan tak wahi dhund phaili hui hai
magar dhund se kaise niklen yahi sochte sochte mar gae hum
zamin se shajar ka janam zindagi ki alamat magar maut bhi hai
meri umr ka aaKHiri din
kisi bab-e-atish-zada par khaDa muskurane laga hai
kahin hijr ki saaten ginte ginte mujhe nind aai hui hai
shumar-e-sitara ne shayad mere dil ki rangin KHaliyon mein
kale lahu ki ibarat likhi hai
samundar mein Duba hua ek makan jal raha hai
(1373) Peoples Rate This