Patal Zamin Aasman

kahani ke sare parinde

bahut dur shayad ufuq mein

kahin munjamid ho gae hain

shajar zard patton ki taswir ban kar

alamat ki tahrir ban kar

bikharne laga hai

kisi jhil ke aaine mein wo mah-wash

badan ke kisi zawiye se nikalne ki KHwahish mein

palken uThae hue dekhti rah gai hai

parindon ki manind main bhi yahan tha

magar ab nahin hun

ki hone ki KHwahish ne shayad mujhe bhi

KHala mein muallaq sitaron ki manind gum kar diya hai

na ab mausamon ke sitam hain

na ab raat ki sard aamezishon mein ThiThurne ki rahat hi aawaz dete hain mujh ko

na patthar ki manind hathon mein suraj

rag-o-pai mein mere lahu ki hararat banega

zamana koi shobada-gar

mujhe dur hi dur le ja raha hai

ki main nim-wa ghaar ki siDhiyon mein utarne laga hun

charagh-e-tilismat milne se pahle

zamin ne mujhe apni aaghosh mein le liya hai

dua bad-dua ban gai hai

ki har lafz ke daere se lahu ris raha hai

kisi sanehe ne zamin se falak ki taraf jate jate

mujhe bhi sitaron mein gum kar diya hai

ki main apne sae ki dahliz par

lazzat-e-ashnai mein khoya hua ajnabi hun

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patal Zamin Aasman In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Patal Zamin Aasman is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Patal Zamin Aasman for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Patal Zamin Aasman in PDF.