Kaenat-e-zat Ka Musafir
aaina raqs mein hasrat ki shanasai ka
kitne chup-chap KHarabon mein liye jata hai
har taraf nirKH-zada chehron ki aawazen hain
meri aawaz kahan thi meri aawaz kahan
madfan-e-waqt se kab koi sada aai hai
ek lamha wahi lamha meri tanhai ka
zaKHm par zaKHm mere dil ko diye jata hai
phul ke hath mein hai raat ke matam ka charagh
kabhi bujhta kabhi jalta hai sulagta hai kabhi
sans se jism ka nata meri ruswai hai
ham-safar kaun hua lala-e-sahrai ka
parda-e-raaz-e-azal chaak kiye jata hai
sar hatheli pe sajae hue chalte rahna
zinda rahne ke liye rasm rahegi kab tak
dard dariya hai wahi dard ki gahrai hai
(729) Peoples Rate This