Drawing-room
tera jism lahu hai mera
jis ki bunden
gul-daste ke phul hain
diwaron par taswiren hain
kashti kashti Dol rahi hai
lep ke sae
ye sab meri zanjiren hain
jin ko mere zehn ka aahan kaT raha hai
kab tak main zindan mein baiTha
aane wale kal ko musht-e-KHak samajh kar
zarre zarre ko bhichunga
dard ki aawaz se kab tak
git sununga
angaron par loT raha hun
kab tak chob-e-munaqqash thame
main sochunga
wo ye shaKH hai jis mein ek din phul khilenge
(838) Peoples Rate This