Dead-house
hanut jismon ke kar-KHane mein
lash rakkhi hui hai kis ki
safed kaghaz badan pe kis ne
sitam ke sab nam likh diye hain
ye phul kal tak sahar ke aangan mein khil raha tha
magar siyahi ke tang halqon mein ghir gaya tha!
ki KHwab zanjir ban gae the
azab tabir ban gae the
kitab ka gard-posh jaise shikasta ho kar bikhar gaya ho
ye kis ibarat ke daere ab kisi shahadat ke nama-bar hain
falak se puchhun to kaise puchhun
ki marne wale ne zindagi ki talash ki thi
to maut taqdir kyun hui thi
wo hath kab tak qalam na honge
jo zard jismon ko nil-gun zaKHm de rahe hain
(993) Peoples Rate This