Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun
zahr ko mai na kahun mai ko gawara na kahun
raushni mang ke main KHud ko sitara na kahun
apni palkon pe liye phirta hun chahat ke sarab
dil ke sahra ko samundar ka kinara na kahun
hijr ke phul mein wo chehra-e-zarrin dekhun
wasl ke KHwab ko milne ka ishaara na kahun
marte marte bhi ye tahrir amanat meri
maut ke baad bhi jine ko KHasara na kahun
apni takmil ke har naqsh mein dekhun us ko
arsa-e-dahr ko hasrat ka nazara na kahun
hashr se pahle mere hashr ki taswir na ban
harf-e-aKHir ko kisi taur dobara na kahun
zindagi jis ki mere dam se ibarat ho 'zafar'
kyun kahe koi use jaan se pyara na kahun
(814) Peoples Rate This