Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega

yun zamane mein mera jism bikhar jaega

mere anjam se har phul nikhar jaega

jam KHali hai surahi se lahu bahta hai

aaj ki raat wo mahtab kidhar jaega

sail-e-girya meri aankhon se ye kah jata hai

bastiyan roen to diya bhi utar jaega

to koi abr-e-guhar-bar samundar ke liye

dil ke sahra se jo chup-chap guzar jaega

aaj ye zulf-e-pareshan hai zamane ke liye

kal yahi daur kisi taur sanwar jaega

teri har baat pe mar jata hun marta bhi nahin

ki meri maut mein insan koi mar jaega

ashk moti se bikhar jaenge rahon mein jahan

su-e-manzil bhi mera dida-e-tar jaega

main makin hun na makan shahr-e-mohabbat ka 'zafar'

dil musafir na kisi ghair ke ghar jaega

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Yun Zamane Mein Mera Jism Bikhar Jaega in PDF.