Wo Phul Jo Muskura Raha Hai
wo phul jo muskura raha hai
shayad mera dil jala raha hai
chhup kar koi dekhta hai mujh ko
aankhon mein magar sama raha hai
main chand ke sath chal raha hun
wo meri hansi uDa raha hai
shayad kisi daur mein wafa thi
ye daur to bewafa raha hai
sau rang hain zindagi ke lekin
insan fareb kha raha hai
taswir bane to mujh se kaise
har naqsh mujhe miTa raha hai
jo lamha payam hai fana ka
chup-chap qarib aa raha hai
tufan ne bhi aankh khol di hai
sahil bhi nazar bacha raha hai
fankar kahun use to kaise
taKHliq ko jo miTa raha hai
taqdir miTa chuki thi jis ko
tadbir ka raaz pa raha hai
aawaz se aag lag rahi hai
mutrib hai ki git ga raha hai
ehsas-e-shikast-o-kaamrani
aaine kai dikha raha hai
wo KHak-nashin 'zafar' hai yaro
jo su-e-falak bhi ja raha hai
(913) Peoples Rate This