Usne ToDa Jahan Koi Paiman
us ne toDa jahan koi paiman
marhale aur ho gae aasan
mir hai koi koi hai sultan
sochta hun kahan gaya insan
aandhiyon mein jala rahe the charagh
hae wo log be-sar-o-saman
falsafi falsafon mein Dub gae
aadmi ka lahu raha arzan
abr ban kar baras hi jaega
khet se jab uTha gham-e-dahqan
shoala-e-gul hai zaKHm-e-dil ki tarah
ye chaman mein bahaar hai ki KHizan
sina-e-sang mein bhi phul khile
gham jahan bhi hua gham-e-pinhan
dil ki aazurdagi na puchh 'zafar'
baat mere liye hai sang-e-giran
(760) Peoples Rate This