Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye
taras raha hun qarar-e-dil-o-nazar ke liye
sukut-e-shab mein dua jis tarah sahar ke liye
main KHak-e-rah-guzar hun ki masnad-e-gul hun
ek iztirab-e-musalsal hai umr bhar ke liye
shajar ki jin se udasi Tapakti rahti hai
ye sang-e-mil hain shayad meri nazar ke liye
jamal-e-dost ko mashal bana liya main ne
wafa ki raKHt-e-safar hai mere safar ke liye
tere KHayal ka aiwan lahu se raushan hai
meri nazar ka ujala hai rahguzar ke liye
shikast jis se zamana larazta rahta hai
wahi nawed-e-masarrat bhi hai 'zafar' ke liye
(836) Peoples Rate This