Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen
tanhai ne par phailae raat ne apni zulfen
palkon par hum tare le kar chand ka rasta dekhen
ye duniya hai is duniya ka rang badalta jae
us parbat se panw phisle jis parbat ko chhu len
kaise pyas bujhate dariya ret ka dariya nikla
lahr lahr mein mauj chhupi thi dhoke mein thi aankhen
jis ko man ka mit banaya aaKHir dushman Thahra
kis kis ko hum mit banaen kis kis se hum uljhen
loha sona ban sakta hai patthar hira moti
soch samajh ki baat hai sari kuchh sochen kuchh samjhen
apna dard bhula den ai dil us ke dard ki KHatir
apne ghaw yaad na aaen chand ka ghaw dekhen
(833) Peoples Rate This